YEH BEBASI
Thak chuki hai zindagi,
Ek sehar roz dekar.
Chal toh rahi hai saasein,
Magar zara tham-thamkar.
Khabar nahi khud mujhko,
Yeh dua hai ya koi saza.
Par akele mein roye bagair,
Jeene ka aata bhi toh nahi maza.
Sulag toh rahe hain hum bhi ,
Parwaane ki tarah jal jaana chahate hain.
Shiddat toh hai humme bhi,
Shamma ki tarah pighal jaana chahate hain.
Kya unki khataaon ko denge sazaaein,
Jo humse kar hi na sake wafa.
Gaur na kar meri dil ki sadayein,
Magar pyaar se dekh hi le ek dafa.
Har dum toh who hain maujood,
Phir bhi khalti hai unki kami.
Unki aisi berukhi se,
Naino mein reh jaati hai bas nami.
Arsa sa ho gaya,
Rooh ko unki chooye hue.
Beet gaye kitne baras,
Baton mein unki jeeye hue.
Mila tha yeh rishta bada aziz,
Mujhe khuda se saugaat mein.
De sako aur kuch nahi toh,
Chand lamhe hi de do khairaat mein.
Tootegein nahi ateet ke patte,
Hargiz waqt ki shaakh se.
Ho gaye hain dil kitne maile,
Phir banege nahi ye rishte paak se………………
0 comments:
Post a Comment