
Koi tha jis   ny    mujhy   apna   banaya     tha
Meri dunia me aa kar har sapna dikhaya tha
Kya   hoa  jo  aaj   aankhon   me   nami   hai
Ronaq   bhi   to  in   par   woh   hi   laya    tha
  
Baqi  pas  mery  ab  kuch  bhi na bacha hai
Dil   tha  kih  woh   bhi   uss  py    lutaya   tha
Kush  fehmi  mein  mubtla kih wo aya to tha
Dekha  kih  hath   us ny  or  ko  thamaya tha
Bad   naseebi  kih  meri woh phir sy kho gya
Mil  na  paya  ussy  kih  woh  laut kar aya tha
Jo  andhery  mein   ussy  kuch dikhai na dia
Ujaaly  ki  khatir   dil   ALI   ka   jalaya     tha
0 comments:
Post a Comment